CHALO SHREE PADMAVATIPURI DHAM
shreeji sahebji ka danka, bajta janha nagara he,
chalo chalo sab pannaji ko, dham achal ujiyala he...
... Hira ratan ki khan janha he,
vindhyachal ki girimala,
vish bhari thi nadi kilkila,
shreeji ne amrut dala,
param punit is divya bhumi ko,
padmavati pukara he....chalo chalo...
Darshan karlo gummat saheb,
shreeji janha biraje he,
banglaji or chabutara ki,
anupam shobha raje he,
parnami nijnaami nijdin,
karte jay jaykara he....chalo chalo...
Janha hua he veer bundela,
chhatrashalju maharaja,
mahapratapi dharmaveer ne jair kie he kai raja,
shreeji ka jhanda lekar,
aalam bhar me lalkara he...
.chalo chalo...
Isha kaho ya imam mehandi,
aksharatit avataar kaho,
vijyabinandan buddha yahi he,
aakar inke charan graho,
shree tartam nijnaam sunakar,
sacharachar ko tara he....chalo chalo...
Shor pada he hua ujala,
daud milo duniyawalo,
bhor bhayo gafil mat rehna,
akhand mukti ko palo,
jay bolo shree satguru swami,
PRANNATHJI pyara he...
chalo chalo sab pannaji ko, dham achal ujiyala he...
..........................................................................................
DHUN
krishana kishan bhaj baavare, tohe piya milenge,
piya milenge tohe piya milenge, shree radhakishan bhaj baavare,
tohe piya milenge.....
...
Krishna pranami he dharma nirala,
jisne kiya he jagat ujiyala,
shree prannath bhaj baavare,
tohe piya milenge......
Nijnaam tartam he mantra hamara,
nisdin rahte vahi naam pyara,
shree rajshyamaji bhaj baavare,
tohe piya milenge.......
Akshar ke aage hamara thikana,
nijnaam naiya me nijdham jana,
shree aksharatit bhaj baavare,
tohe piya milenge.......
krishana kishan bhaj baavare, tohe piya milenge,
piya milenge tohe piya milenge, shree radhakishan bhaj baavare,
tohe piya milenge.....
Pranamji is bhajan ki rachna valsad gujarat k gafilji ne ki thi.
..........................................................................................
SHREE PRANNATHJI KI AARATI
shree prannath bhaj re, swami prannath bhaj re,
brahmshristi k karan, sundar roop dhare, shree prannath bhaj re..........
... sachidanand parmatma, puran brahmabharta,
akshar brahm pujari, jo shristi karta, shree prannath bhaj re..........
lila shree nijdham ki, jo koi gave,
aava gaman mitave, mukti fal paave, shree prannath bhaj re..........
padhe shree tartam vani, nitya uthi dhyan dhare,
shree nijnaam ko japna, karaj sidh kare, shree prannath bhaj re..........
sakhiyan ke dukh karta, kaliyug bhag dhare,
me angna aap swami, shreeji kripa kare, shree prannath bhaj re..........
aap hi kripa ke sagar, kripa karo swami,
apna sath ubharo, apne charan lagao, tum anteryami, shree prannath bhaj re..........
Pranam Sab sunadarsaathji Ko.........
.........................................................................................
AB TO LAGADO NAIYA PAAR
Ab to lagado naiya par, maharani rani,
ab to lagado naiya par, shyama maharani,
ab to lagado naiya par shri radherani....
...
Mangat keval bikh kripa ki,khadi tumare dvar,
ab to lagado naiya par, shyama maharani,
ab to lagado naiya par, radhe rani....
Bar bar me vinati karat hu, bar bar me vinati karat hu, charno me leo ek bar,
ab ke lagado ek bar, shyama maharani,
ab ke lagado ek bar, shri radhe rani....
Hath jodkar vinati karat hu, hath jodkar vinati karat hu, rakhiyo charno k paas,
ab k lagado naiya par, shyama maharani,
ab k lagado naiya par, shri radhe rani....
.........................................................................................
japo re mann pal pal shri nijnaam,
japo re mann pal pal shri nijnaam,
he nijnaam udharan taran, he nijnaam udharan taran,
... aadhi vyadhi upadhi nivaran, aadhi vyadhi upadhi nivaran,
karat puran mann kaam, karat puran mann kaam,
japo re mann pal pal shri nijnaam,
japo re mann pal pal shri nijnaam,
mantra tartam mukti dilave, mantra tartam mukti dilave,
janam maran ke dukh mitave, janam maran ke dukh mitave,
pohchave nijdham, pohchave nijdham,
japo re mann pal pal shri nijnaam,
japo re mann pal pal shri nijnaam,
paap hare kalyug ko mare, paap hare kalyug ko mare,
abhay kare bhav jal se tare, abhay kare bhav jal se tare,
avichal he aaram, avichal he aaram,
japo re mann pal pal shri nijnaam,
japo re mann pal pal shri nijnaam,
seer pe kaal khada he kafir, seer pe kaal khada he kafir,
kahe rahe sumiran me bujdil, kahe rahe sumiran me mujdil,
lagat na kachhu daam, lagat na kachhu daam,
japo re mann pal pal shri nijnaam,
japo re mann pal pal shri nijnaam..............
this bhajan writted by GAFILji from valsad
.........................................................................................
Sukh aate hai, dukh aate hai
En aate jate such dukh ma hum mast rahete hai
Ham maast rahete hai
Ghate ghate pakira rehejata hai
... Koi paida huwa koi marjata
En janma maran k khel ma hum maast rahete hai.
Hum maast rahete hai…
Sukh aate hai, dukh aate hai…………………………………
Kabhi man mila jibhar bhar k
Kabhi aapaman mila jibhar bhar k
Hum man aapaman k khel ma hum maast rahete hai
Hum maast rahete hai.
Sukh aate hai, dukh aate hai…………………………………
Guru gyan pikara ak khola hai
Yaha jag sara ak mela hai
Chand chand such dukh ma,hum maast rahete hai
Hum maast rahete hai
Sukh aate hai, dukh aate hai…………………………………
Yahi to jina bhai jina hai
zehar chod diya ,amrit pina hai
Hum amrit pite rehete hai maast rahete hai
Hum maast rahete hai
Sukh aate hai, dukh aate hai
En aate jate such dukh ma hum mast rahete hai|2|.
.........................................................................................
Mantra wohi jo man ko tare
Lejaye jib ko nija dware
Pravu se ho pahechan tumari
Taratamya k mantra sahare
Mantra wohi jo man ko tare……….
...
Mantra hai sola(16) akchar ka ye
Khole de parda antar ka ye
Soyam pravu hi gyan de iska
Bhakta jo sache man se pukare
Mantra wohi jo man ko tare……….
Devchandra ji Krishna upasak
Bhakti kinhi chauda barastak
Krishna prakatkar ho kar k bole
Tartamye ka gyan le tyare
Mantra wohi jo man ko tare……….
Krishna pranami dharma k path par
Bhajle tu shri rajji paratpar
Lekar dikhshya tartamya ki
Paramdham ki aur to jare
Mantra wohi jo man ko tare……

padamavati he wo dham jag me.....
Padmavati he wo dham jag me,aakar jiv yaha mukti ko pave, vishva pranami dharma ke path per, manav chale jo nijanand pave, padmavati he....
Panna ki bhumi per shri prannath lekar hajaro sundarsath aae,
... navdha bhakti se shresth he jo prem lakshna bhakti le aae,
or vishmayi jo nadi kil kila ke jal ko wo amrit sa pawan banae,
padmavati he.....
Shri chhatrashal maharaj ji ko talvar di path vijay ka dikhaya,jo the vedharmi bane dust unko, jung me hara dharma apna bachaya,
shri prannath shri rajshyama jagni raas ke darshan karave, padmavati he.....
Jisme paramdham ka gyan he wo kuljam svarup ko lae shri prannath,
kshar or akshar se bhi par he jo, mulmilava shriraj k sath,
buddha niskalank avtaar he jo, shri prannath ko sish namave,
padmavati he wo dham jag me, aakar jiv yaha mukti ko pave, vishva pranami dharma k path per, manav chale jo nijanand pave.....
.........................................................................................
PADMAVATI HE WO DHAM JAG ME
Padmavati he wo dham jag me,aakar jiv yaha mukti ko pave, vishva pranami dharma ke path per, manav chale jo nijanand pave, padmavati he....
Panna ki bhumi per shri prannath lekar hajaro sundarsath aae,
... navdha bhakti se shresth he jo prem lakshna bhakti le aae,
or vishmayi jo nadi kil kila ke jal ko wo amrit sa pawan banae,
padmavati he.....
Shri chhatrashal maharaj ji ko talvar di path vijay ka dikhaya,jo the vedharmi bane dust unko, jung me hara dharma apna bachaya,
shri prannath shri rajshyama jagni raas ke darshan karave, padmavati he.....
Jisme paramdham ka gyan he wo kuljam svarup ko lae shri prannath,
kshar or akshar se bhi par he jo, mulmilava shriraj k sath,
buddha niskalank avtaar he jo, shri prannath ko sish namave,
padmavati he wo dham jag me, aakar jiv yaha mukti ko pave, vishva pranami dharma k path per, manav chale jo nijanand pave.....
SHREEJI PYARE
MERI SHAMA MAHARANI KA DARBAR SONA HE.....
MERI SHAMA MAHARANI KA DARBAR SONA HE.....
RAJ RAS BARAS RAHYO AAJ MORE AANGAN ME
Raj ras baras rahiyo
Aaj more aagan ma|2|
Raj ras baras rahiyo
Aaj more aagan ma|2|
PRARTHNA SHREE PRANNATHJI KI
Prannath bhaj re, swami prannath bhaj re,
brahmasrusti k karan, brahmamunio ke karan sundar rup dhare....swami prannath bhaj re
PRARTHNA SHREE PRANNATHJI KI
Prannath bhaj re, swami prannath bhaj re,
brahmasrusti k karan, brahmamunio ke karan sundar rup dhare....swami prannath bhaj re
No comments:
Post a Comment